Showing posts with label bahadur shah zafar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label bahadur shah zafar ki shayyiri. Show all posts

Sunday, August 23, 2009

dard-o-aalam

ranj-o-kalaq hai, dard-o-aalam hai, hasrat hai nakaami hai
duuri mein uss rahat-e-jaan ki kya kya beaarami hai

Monday, July 13, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

veh abhi hum par zaffa karta hai kya
aagay-aagay dekhna, karta hai kya ?
yeh mareez-e-ishq zambar[dead] ho chuka
ae tabeeb ![doctor] isski dawa karta hai kya ?
dil hazaron roz le zaata hai tu
yeh bata, ae dilruba ! karta hai kya ?
hai lab-e-zakhm-e-jigar[dil ke zakhm] zumbish[kampan] mein kyun ?
teg-e-kaatil[weapon] ko dua karta hai kya ?
tujhpe karta hai jo koi jaan-fida
tu hai munsif, toh bura karta hai kya ?
dil mera sunta hai, kiske ishq mein
tu naseehat, naseh, karta hai kya ?
ab toh dil uss buut ko humne de diya
ae zafar ! dekhen, khuda karta hai kya ?

Monday, June 22, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

vo behisab jo pii ke kal sharaab aaya
agarche mast tha main par mujhe hizaab aaya
idhar khayal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khataa hua dil mein pech-o-taab aaya
khayal kis ka samaaya hai deeda-o-dil mein
na dil ko chaiin mujhe aur na shab ko khwaab aaya

Sunday, June 14, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

shamma kyun hai bedil ye usski kya ada hai
vo ahl-e-khalq kya jaane ye dil kyun gham-zada hai
hum sagar-e-gham mein na kyun khud ko duboyen
jaana yahi ayyam ye manzoor-e-khuda hai
kya shams-o-qamar ne nahi dekha mera aalam
ya rab tere iss dar pe ab yehi meri sada hai
jab ishq yun ghafil hua phir roye kyun 'zafar'
kaafir ke chashm-e-mast pe ye dil kyun fida hai
ab jaayen toh kidhar ya khuda tu hi ye bata
ye khasta-e-hasti hi meri unnse jab juda hai

Wednesday, June 10, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

ja kahiyo unnse naseem-e-sahar
mera chaiin gaya meri neend gayi
tumhen meri na mujhko tumhari khabar
mera chaiin gaya meri neend gayi
na haaram mein tumhare yaar pata
na suraag dair mein hai milta kahan
badshah-e-khuban-e-jahan
teri mohani surat pe kurban ki
maine jo teri jabeen pe nazar dali
mera chaiin gaya meri neend gayi
hui bad-e-bahaari chaman mein
ayaan gul butti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na layi sanvar
mera chaiin gaya meri neend gayi
ae barq-e-tajali bahar-e-khuda
na jala mujhe hizr mein shamma sa
meri ziist hai misl-e-chirag-e-sahar
mera chaiin gaya meri neend gayi
kehta hai yahi roa roa ke 'zafar;
mera aah-e-rasaa ka hua na asar
teri hizr mein maut na aayi abhi
mera chaiin gaya meri neend gayi

bahadur shah zafar ki shayyiri

yaar tha gulzar tha baad-e-saba thi main na tha
laayaq-e-paa-bos-e-jaan kya heena thi main na tha
haath kyun baandhe mere chhalla agar chori hua
hass ke bola vo sanam shaan-e-khuda thi main na tha
maine puchha kya hua vo aap ka husn-o-shabaab
hass ke bola vo sanam shaan-e-khuda thi main na tha
main sisakta reh gaya aur marr gaye farahad-o-qais
kya unhiin donon ke hisse mein qaza thi main na tha

Sunday, June 7, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri


na doonga dil kabhi unnko, yeh roj kahta tha
woh aaj le bhi gaya aur 'zafar" se kuch na hua

bahadur shah zafar ki shayyiri

bhali karte burayi hoti hai
muh se nikali parayi hoti hai
ae zafar ! mera yaar jidhar phirta hai
uss taraf sab khudai hoti hai

Thursday, June 4, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

vo behisab jo pii ke kal sharaab aaya
agarche mast tha main par mujhe hizaab aaya
idhar khayal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khataa hua dil mein pech-o-taab aaya
khayal kis ka samaaya hai deeda-o-dil mein
na dil ko chaiin mujhe aur na shab ko khwaab aaya

bahadur shah zafar ki shayyiri

tum na aaye ek din ka vaada kar do din talak
hum pade tadapaa kiye do do pehar do din talak
dard-e-dil apna sunaata hun kabhi jo ek din
rehta hai uss nazanin ko dard-e-sar do din talak
dekhate hain khwab mein jis din kisuu ki chashm-e-mast
rehate hain hum do jahan se bekhabar do din talak
gar yaqiin ho ye hamen aayega tu do din ke baad
toh jiyen hum aur iss ummid par do din talak
kya sabab kya vaasta kya kaam tha batlayiye
ghar se jo nikle na apne tum 'zafar' do din talak

bahadur shah zafar ki shayyiri

thay kal jo apne ghar mein vo mehmaan kahan hain
jo kho gaye hain ya rab vo ausaan kahan hain
aankhon mein rote rote nam bhi nahin ab toh
thay maujazan jo pehle vo tuffan kahan hain
kuch aur dhab ab toh hamen log dekhate hain
pehlae jo ae 'zafar' thay vo insaan kahan hain

bahadur shah zafar ki shayyiri

na kisi ki aankh ka noor hun
na kisi ke dil ka qaraar hun
jo kisi ke kaam na aa sake
main vo ek musht-e-gubaar hun
na toh main kisi ka habib hun
na toh main kisi ka raqeeb hun
jo bigad gaya vo naseeb hun
jo ujad gaya vo dayaar hun
mera rang roop bigad gaya
mera yaar mujhse bichhad gaya
jo chaman fizaan mein ujad gaya
main ussi ki fasl-e-bahaar hun
paye faatehaa koi aaye kyun
koi chaar phool chadaaye kyun
koi aa ke shamma jalaaye kyun
main vo bekasi ka mazaar hun
main nahin hun nagma-e-jaan fishaan
mujhe sun ke koi karega kya
main pade barog ki hun sada
main bade dukh ki pukaar hun

bahadur shah zafar ki shayyiri

khulata nahin hai haal kisi par kahe bagaiir
par dil ki jaan lete hain dilbar kahe bagaiir
main kyunkar kahun tum aao ki dil ki kashish se vo
aayenge daude aap mere ghar kahe bagaiir
kya taab kya mazaal hamaari ki bosa len
lab ko tumhare lab se milaakar kahe bagaiir
bedard tu sune na sune lek[lekin] dard-e-dil
rehta nahin hai ashiq-e-muztar[anxious] kahe bagaiir
taqdeer ke siva nahin milta kahin se bhi
dilvaata ae 'zafar' hai muqaddar kahe bagaiir

bahadur shah zafar ki shayyiri

hum toh chalte hain lo khuda haafiz
buut_kada ka buuton khuda haafiz
kar chuke tum nasihaten humko
jaao bas naaseho khuda haafiz
bar yahi hai hamesha zakhm pe zakhm
dil ka chaaragaron khuda hafiz
aaj hai kuch zayada betaabi
dil-e-betaab ko khuda haafiz
kyun hifaazat hum aur ki dhoondhen
har nafas jab ki hai khuda haafiz
chahe rukhsat ho raah-e-ishq mein aql
ae 'zafar' jaane do khuda haafiz

bahadur shah zafar ki shayyiri

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi toh na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi toh na thi

le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ae dil kabhi aisi toh na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gayi qatil kabhi aisi toh na thi

unnki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu
ke tabiyat meri mael kabhi aisi toh na thi

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi toh na thi

kya sabab tu jo bigadta hai "zafar" se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi toh na thi

bahadur shah zafar ki shayyiri

lagta nahi hai dil mera ujde diyar mein
kis ki bani hai aalam-e-na_paayedar mein

keh do in hasraton se kahin aur ja basein
itni jagah kahan hai dil-e-daag daar mein

umar-e-daraaz maang ke laaye thay chaar din
do aarzu mein kat gaye do intzaar mein

kitna hai bad naseeb 'zafar' ke dafn ke liye
do gaz zamein bhi na mil saki kuu-e-yaar mein

bahadur shah zafar ki shayyiri

yaar tha gul-zar tha baad-e-saba thi main na tha
laiyaaq-e-paa-bos-e-jaan kiya hina thi main na tha

maine poocha kya hua vo aap ka husn-o-shabaab
hans ke bole vo sanam, shan-e-khuda thi main na tha

main sisakta reh gaya aur marr gaye farhad-o-qais
kya unnhi dono ke hisse mein qaza thi main na tha

Friday, May 22, 2009

bahadur shah zafar ki shayyiri

lagta nahin hai dil mera ujde dayaar mein
kiski bani hai aalam-e-na paidaar mein
kah do inn hasraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar mein
umr-e-daraz maang ke laaye thay char din
do aarzu mein kat gaye, do intezar mein
kitna hai badnasiib zafar dafan ke liye
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein

Monday, November 24, 2008

bahadur shah zafar ki shayyiri

उस्सकी महफिल में जा के देख लिया
अपना सब कुछ लुटा के देख लिया
लाख समझाया पर न समझेगा
दिल को फिर आजमा के देख लिया
पत्थर कहा गया, कभी शीशा कहा गया
दिल जैसी एक चीज़ को, क्या क्या कहा गया
शेरों में उसके हुस्न को, क्या क्या कहा गया
बादल को जुल्फ फूल को चेहरा कहा गया
सोचो तोह यह भी एक कफस ही तोह है
तहजीब की ज़ुबाँ में, कमरा कहा गया
एक बात इख्तिय्यर से, बहार जो थी उससे
एक खुबसूरत से, तमन्ना कहा गया
हैरत है उनकी बज्म-ए-मुहबत में कल 'ज़फर'
मुझको गुनाहगार को, अपना कहा गया
पत्थर कहा गया, कभी शीशा कहा गया
दिल जैसी एक चीज़ को, क्या क्या कहा गया
*
usski mehfil mein jaa ke dekh liya
apna sab kuch luta ke dekh liya
laakh samjhaya par na samjhega
dil ko phir aazma ke dekh liya
pathar kaha gaya, kabhi sheesha kaha gaya
dil jaisi ek cheez ko, kya kya kaha gaya
sheron mein usske husn ko, kya kya kaha gaya
badal ko zulf phool ko chehra kaha gaya
socho toh yeh bhi ek kafas hi toh hai
tehzeeb ki zubaan mein, kamra kaha gaya
ek baat ikhtiyyar se, bahar jo thi usse
ek khubsurat se, tamanna kaha gaya
haairat hai unnki bazm-e-muhabat mein kal 'zafar'
mujhko gunahgaar ko, apna kaha gaya
pathar kaha gaya, kabhi sheesha kaha gaya
dil jaisi ek cheez ko, kya kya kaha gaya

bahadur shah zafar ki shayyiri

भली करते बुरे होती है
मुह से निकली परे होती है
ऐ ज़फर ! मेरा यार जिधर फिरता है
उस तरफ़ सब खुदाई होती है
*
bhali karte burai hoti hai
muh se nikali parai hoti hai
ae zafar ! mera yaar jidhar phirta hai
uss taraf sab khudai hoti hai

wel come