na kisi ki aankh ka noor hun
na kisi ke dil ka qaraar hun
jo kisi ke kaam na aa sake
main vo ek musht-e-gubaar hun
na toh main kisi ka habib hun
na toh main kisi ka raqeeb hun
jo bigad gaya vo naseeb hun
jo ujad gaya vo dayaar hun
mera rang roop bigad gaya
mera yaar mujhse bichhad gaya
jo chaman fizaan mein ujad gaya
main ussi ki fasl-e-bahaar hun
paye faatehaa koi aaye kyun
koi chaar phool chadaaye kyun
koi aa ke shamma jalaaye kyun
main vo bekasi ka mazaar hun
main nahin hun nagma-e-jaan fishaan
mujhe sun ke koi karega kya
main pade barog ki hun sada
main bade dukh ki pukaar hun
No comments:
Post a Comment