mere lab-o-kalam ke ujz ko koi aisa hunar-e-kamaal de
jo meri khawhishon ke jhund ko takmeel ke darje mein dhaal de
meri khilwaton ke ae razdaan, meri jalwaton ke rafiq sun
kisi se kuch bhi ho ke woh chuum kar mere inn labon ko pyar se
meri ruuh ke zakhm samet le, mujhe jankani se nikaal de
teri chahton ke des mein mere roz-o-shab tamam ho
tere bicharne ka koi darr na ho, mujhe aise mah-o-saal de
meri bebasi ko zuban mile, meri kam nigahi ujaal de
ke jahan se kuch na talab rahe, mujhe aisa izn-e-sawal de
mujhe umar bhar naseeb ho, meri zindgi pe moheet ho
jo kabhi bhi khatam na ho sake, mujhe aisa koi wisaal de