Showing posts with label kaleem ajiz ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label kaleem ajiz ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

iss naaz iss andaaz se tum haaye chalo ho

iss naaz iss andaaz se tum haaye chalo ho
roz ek ghazal hamse kahlavaye chalo ho
rakhna hai kahin paanv toh rakho ho kahin paanv
chalna zara aaya hai toh itaraaye chalo ho
diwaan-e-gul qaidi-e-zanjiir hai aur tum
kyaa thaath se gulshan ki hawa khaaye chalo ho
mai mein koi khaami hai na saagar mein koi khot
piina nahin aaye hai toh chhalkaaye chalo ho
ham kuch nahin kehte hain koi kuch nahin kehta
tum kya ho tumhin sab se kehalvaaye chalo ho
zulfon ki toh fitrat hai lekin mere pyare
zulfon se bhi zyada balkhaaye chalo ho
vo shokh sitam_gar toh sitam dhaaye chale hai
tum ho ke 'kaleem' apni ghazal gaaye chalo ho

Friday, June 5, 2009

kaleem ajiz ki shayyiri

din ek sitam, ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho
ham khaaq-nashin, tum sukhan-aaraa-e-sar-e-baam
paas aa ke milo, duur se kya baat karo ho
humko jo mila hai, wo tumhin se toh mila hai
hum aur bhula de tumhen, kya baat karo ho !
daaman pe koi chhiint, na khanjar pe koi daag
tum qatl karo ho ke karamaat karo ho
bakne bhi do 'ajiz' ko, jo bole hai so bake hai
deewana hai, deewane se kyaa baat karo ho

Tuesday, March 17, 2009

kaleem ajiz ki shayyiri

छुरी जिनके हाथों से खाना पड़े है
ग़ज़ल भी उन्हीं को सुनना पड़े है
तबियत को काबू में लाना पड़े है
उठते है कहाँ ग़म, उठाना पड़े है
कुछ आसान नहीं मंसब-ए-सुर्ख-रुई
कई बार मकतल में जाना पड़े है
ना आ दर्दमंदों की महफिल में प्यारे
यहाँ उम्र भर दिल जलाना पड़े है

kaleem ajiz ki shayyiri

churri jinke haathon se khana pade hai
ghazal bhi unhin ko suanaa pade hai
tabiyat ko qaabu mein laana pade hai
uththe hai kahaan gham, uthana pade hai
kuch aasan nahin mansab-e-surkh-rui[position of honour]
kai baar maqtal mein jaana pade hai
na aa dardmandon ki mehfil mein pyare
yahan umar bhar dil jalana pade hai

wel come