iss naaz iss andaaz se tum haaye chalo ho
roz ek ghazal hamse kahlavaye chalo ho
rakhna hai kahin paanv toh rakho ho kahin paanv
chalna zara aaya hai toh itaraaye chalo ho
diwaan-e-gul qaidi-e-zanjiir hai aur tum
kyaa thaath se gulshan ki hawa khaaye chalo ho
mai mein koi khaami hai na saagar mein koi khot
piina nahin aaye hai toh chhalkaaye chalo ho
ham kuch nahin kehte hain koi kuch nahin kehta
tum kya ho tumhin sab se kehalvaaye chalo ho
zulfon ki toh fitrat hai lekin mere pyare
zulfon se bhi zyada balkhaaye chalo ho
vo shokh sitam_gar toh sitam dhaaye chale hai
tum ho ke 'kaleem' apni ghazal gaaye chalo ho
No comments:
Post a Comment