vo kehte hain ranjish ki baaten bhula den
muhabbat karen khush rahen muskura den
jawani ho gar jaavidaani toh yaa rab
teri saada duniya ko zannat bana den
shab-e-wasl ki bekhudi chha rahi hai
kaho toh sitaaron ki shamaen bujha den
tum afsana-e-qais kya puuchhte ho
idhar aao ham tum ko laila bana den
bahaaren simat aaye khil jaaye kaliyan
jo ham tum chaman mein kabhi muskura den
vo aayenge aaj ae bahaar-e-muhabbat
sitaaron ke bistar mein kaliyan bichha den
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label akhter shirani ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label akhter shirani ki shayyiri. Show all posts
Tuesday, July 7, 2009
akhter shirani ki shayyiri
nik_hat[fragnance]-e-zulf se niindon ko basa de aa kar
meri jaagi hui raaton ko sula de aa kar
kis qadar teera-o-taariik[dark] hai duniya meri
jalwa-e-husn ki ik shama jala de aa kar
ishq ki chandni raaten mujhe yaad aati hain
umar-e-rafta[past life] ko meri mujhse mila de aa kar
zauq-e-naadiid mein lazzat toh hai magar naaz nahin
aa mere ishq ko magruur bana de aa kar

meri sham-e-gham ko vo behla rahe hain
likha hai ye Khat mein ki ham aa rahe hain
thehr ja zara aur dard-e-furqat
hamre tasavvur mein vo aa rahe hain
gham-e-aaqabat[life after death] hai na fikr-e-zamana
piye ja rahe hain jiye ja rahe hain
nahin shikwa-e-tashnagi maikashon ko
vo aankhon se maikhane barsa rahe hain
vo rashk[envy]-e-bahaar aanewala hai ‘akhtar’
kanwal hasaraton ke khile ja rahe hain

mastana piye jaa yunhi mastana piye ja
paimana toh kya chiiz hai maikhana piye ja
kar garq[drown] mai-o-jaam gham-e-gardish-e-ayyam[sorrow of everyday life]
ab ae dil-e-nakaam tu maikhana piye ja
mai-noshi[drinking] ke aadaab se aagaah nahin tu
jis tarah kahe saaqi-e-maikhana piye ja
iss basti mein hai vehashat-e-masti hi se hasti
diwana ban aur baada-e-diwana piye ja
maikhane ke hangamen hain kuch der ke mehaman
hai subah qariib ‘akhtar’ diwana piye ja

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-aarzu
tu hi bata de naaz se iimaan-e-aarzu
iimaan-o-jaan nisaar teri ik nigaah par
tu jaan-e-aarzu hai tu iimaan-e-aarzu
ik vo ke aarzuuon pe jeete hain umar bhar
ik ham ke hain abhi se pashemaan-e-aarzu
aankhon se juu-e-khoon hai ravaan dil hai daag daag
dekhe koi bahar-e-gulistan-e-aarzu

kya keh gayi kisi ki nazar kuch na puuchhiye
kya kuch hua hai dil pe asar kuch na puuchhiye
vo dekhna kisi ka kankhiyon se baar baar
vo baar baar usska asar kuchh na puuchhiye
ro ro ke iss tarah se kati raat kya kahen
marr marr ke kaise ki hai sahar kuchh na puuchhiye
‘akhtar’ dayar-e-husn mein pahunchen toh hain marr ke ham
kyunkar hua hai tai ye safar kuchh na puuchhiye

kaam aa saki na apni vafaayen toh kya karen
ik bewaffa ko bhuul na jaayen toh kya karen
mujhko ye etaraaf[agree] duaaon mein hai asar
jaaye na arsh par jo duaayen toh kya karen
ik din ki baat ho toh usse bhuul jaayen ham
naazil[to fall upon] hon roz dil pe balaayen[troubles] toh kya karen
shab bhar toh unnki yaad mein taare gina kiye
taare-se din ko bhi nazar aayen toh kya karen
ahad-e-tarab[promise of good times] ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhuul na jaayen toh kya karen
ab jii mein hai ki unnko bhula kar hi dekh len
vo baar baar yaad jo aayen toh kya karen
tark-e-waffa bhi zurm-e-muhabbat sahi ‘akhtar’
milne lagen waffa ki sazaayen toh kya karen

jo bhi bura bhala hai allaah jaanta hai
bande ke dil men kya hai allaah jaanta hai
ye farsh-o-arsh kya hai allaah jaanta hai
pardon mein kya chhupa hai allaah jaanta hai
jaakar jahan se koi vapas nahin hai aata
vo kaun si jagah hai allaah jaanta hai
neki-badi ko apne kitna hi tu chhupaaye
allaah ko sab pata hai allaah jaanta hai
ye dhuup-chhaon dekho ye subah-shaam dekho
sab kyun ye ho raha hai allaah jaanta hai
kismat ke naam ko toh sab jaante hain lekin
kismat mein kya likha hai allaah jaanta hai

har ek jalwa-e-rangiin meri nigah mein hai
gham-e-firaaq ki duniya dil-e-tabah mein hai
kisi ki yaad-e-karam uff arre ma'azallaah
tabaah ho ke bhi zaalim dil-e-tabaah mein hai
hazaar pardon mein o chhupnewale ye sun le
tera jamaal mere daaman-e-nigaah mein hai
jahan mein mujhe bhi nakaam-e-aarzu kam hai
na rang aah mein hai aur na soz aah mein hai

dil-o-dimag ko ro luunga aah kar lunga
tumhare ishq mein sab kuch tabah kar lungaa
agar mujhe na milin tum tumhare sar ki qasam
main apni saari jawani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili
tere khayal hi ko sajdagah kar lunga
jo tum se kar diya maharuum aasman ne mujhe
main apni zindgi sarf-e-gunah kar lunga
raqiib se bhi milunga tumhare hukam pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga
tumhari yaad mein main kaat dunga hashr ke din
tumhare hizr mein raaten siyah kar lunga
hariim-e-hazarat-e-salma ki simt jaata hun
hua na zabt toh chupke se aah kar lunga
ye naubahar ye abr-o-hawa ye rang-e-sharab
chalo jo ho so ho ab toh gunah kar lunga
kisi hasiina ke masoom ishq mein ‘akhtar’
jawani kya hai main sab kuch tabaah kar lunga

ae ishq na chhed aa aa ke hamen
ham bhuule huon ko yaad na kar
pehle hi bohat na_shaad hain ham
tu aur hamen na_shaad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuch
ye taaza sitam ijaad na kar
yun zulm na kar bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
jis din se mile hain donon ka
sab chaiin gaya aaram gaya
chehron se bahaar-e-subah gayi
aankhon se farog-e-sham gaya
haathon se khushi ka jaam chhuta
honton se hansi ka naam gaya
ghamgiin na bana na_shaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
raaton ko uth uth rote hain
ro ro kar duaayen karte hain
aankhon mein tasavvur dil mein khalish
sar dhunate hain aahen bharte hain
ae ishq ye kaisa rog laga
jeete hain na zaalim marte hain
ye zulm toh ae jallaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ye rog laga hai jab se hamen
ranjiida hun main bimaar hai vo
har waqt tapish har waqt khalish
be-Kkhwab hun main bedaar ha vo
jeene se idhar bezaar hun main
maranbe pe udhar tayyar hai vo
aur zabt kahe fariyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
bedard zara insaaf toh kar
iss umar mein aur magmuum hai vo
phuulon ki tarah naazuk hai abhi
taaron ki tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj gazab
majabuur hun main mazluum hai vo
mazluum pe yun bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ae ishq khudara dekh kahin
vo shokh hasin badnaam na ho
vo maah-e-laqa badnaam na ho
vo zohra-jabiin badnaam na ho
na_muus ka ussko paas rahe
vo parda-nashin badnaam na ho
uss parda-nashiin ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ummiid ki jhuuthi zannat ke
reh reh ke na dikhla khwab hamen
aa_iinda ke farzi ishrat ke
vaade se na kar betaab hamen
kehta hai zamana jis ko khushi
aati hai nazar kamayab hamen
chhod aisi khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
do din hi mein ahad-e-tifali ke
masuum zamaane bhuul gaye
aankhon se vo khushiyan mit si gayin
lab ke vo taraane bhuul gaye
unn paak bahishti khwabon ke
dilchasp fasane bhuul gaye
unn khwabon se yun aazad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
aankhon ko ye kya aazar hua
har jazb-e-nihaan par ro dena
aahang-e-tarab pe jhuk jaana
aawaz-e-fugan par ro dena
barbat ki sada par ro dena
mutrib ke bayan par ro dena
ehsaas ko gham buniyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
jii chahta hai ik dusre ko
yun aath pahar ham karen
aankhon mein basaayen khwabon ko
aur dil ko khayal aabad karen
khilvat mein bhi jo jalwat ka saaman
vahadat ko dui se shaad karen
ye aarzuuen ijaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
vo raaz hai ye gham aah jise
paa jaaye koi to khair nahin
aankhon se jab aansu behte hain
aa jaaye koi toh khair nahin
zaalim hai ye duniya dil ko
yahan bha jaaye koi khair nahin
hai zulm magar fariyaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
duniya ka tamasha dekh liya
ghamgiin si hai betaab si hai
ummiid yahan ik vaham si hai
taskiin yahan ik khwab si hai
duniya mein khushi ka naam nahin
duniya mein khushii nayab si hai
duniya mein khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ham bhuule huon ko yaad na kar
pehle hi bohat na_shaad hain ham
tu aur hamen na_shaad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuch
ye taaza sitam ijaad na kar
yun zulm na kar bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
jis din se mile hain donon ka
sab chaiin gaya aaram gaya
chehron se bahaar-e-subah gayi
aankhon se farog-e-sham gaya
haathon se khushi ka jaam chhuta
honton se hansi ka naam gaya
ghamgiin na bana na_shaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
raaton ko uth uth rote hain
ro ro kar duaayen karte hain
aankhon mein tasavvur dil mein khalish
sar dhunate hain aahen bharte hain
ae ishq ye kaisa rog laga
jeete hain na zaalim marte hain
ye zulm toh ae jallaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ye rog laga hai jab se hamen
ranjiida hun main bimaar hai vo
har waqt tapish har waqt khalish
be-Kkhwab hun main bedaar ha vo
jeene se idhar bezaar hun main
maranbe pe udhar tayyar hai vo
aur zabt kahe fariyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
bedard zara insaaf toh kar
iss umar mein aur magmuum hai vo
phuulon ki tarah naazuk hai abhi
taaron ki tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj gazab
majabuur hun main mazluum hai vo
mazluum pe yun bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ae ishq khudara dekh kahin
vo shokh hasin badnaam na ho
vo maah-e-laqa badnaam na ho
vo zohra-jabiin badnaam na ho
na_muus ka ussko paas rahe
vo parda-nashin badnaam na ho
uss parda-nashiin ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
ummiid ki jhuuthi zannat ke
reh reh ke na dikhla khwab hamen
aa_iinda ke farzi ishrat ke
vaade se na kar betaab hamen
kehta hai zamana jis ko khushi
aati hai nazar kamayab hamen
chhod aisi khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
do din hi mein ahad-e-tifali ke
masuum zamaane bhuul gaye
aankhon se vo khushiyan mit si gayin
lab ke vo taraane bhuul gaye
unn paak bahishti khwabon ke
dilchasp fasane bhuul gaye
unn khwabon se yun aazad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
aankhon ko ye kya aazar hua
har jazb-e-nihaan par ro dena
aahang-e-tarab pe jhuk jaana
aawaz-e-fugan par ro dena
barbat ki sada par ro dena
mutrib ke bayan par ro dena
ehsaas ko gham buniyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
jii chahta hai ik dusre ko
yun aath pahar ham karen
aankhon mein basaayen khwabon ko
aur dil ko khayal aabad karen
khilvat mein bhi jo jalwat ka saaman
vahadat ko dui se shaad karen
ye aarzuuen ijaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
vo raaz hai ye gham aah jise
paa jaaye koi to khair nahin
aankhon se jab aansu behte hain
aa jaaye koi toh khair nahin
zaalim hai ye duniya dil ko
yahan bha jaaye koi khair nahin
hai zulm magar fariyaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
duniya ka tamasha dekh liya
ghamgiin si hai betaab si hai
ummiid yahan ik vaham si hai
taskiin yahan ik khwab si hai
duniya mein khushi ka naam nahin
duniya mein khushii nayab si hai
duniya mein khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar
akhter shirani ki shayyiri
kisi se kabhi dil lagaya na tha
muhabbat ka sadama uthaya na tha
hasiinon ke rone pe hansate thay ham
kabhi ek aanshu bahaya na tha
koi hoor ho ya pari apna sar
kisi aastan par jhukaya na tha
siyah gesuuon ko tamnna rahi
magar dil ko ham ne phansaya na thaa
zamane mein vo kaun tha zohara_vash
ke siine se jis ne lagaya na tha
basar ki sada aish-o-isharat mein umar
kabhi ranj hamne uthaaya na tha
magar ik jhalak ne hamen kho diya
ye sadma toh hamne uthaya na tha
kiya ishq ke dard mein mubtila
‘falak tune itna hansaya na tha
ke jis ke ivaz yun rulane lage’
muhabbat ka sadama uthaya na tha
hasiinon ke rone pe hansate thay ham
kabhi ek aanshu bahaya na tha
koi hoor ho ya pari apna sar
kisi aastan par jhukaya na tha
siyah gesuuon ko tamnna rahi
magar dil ko ham ne phansaya na thaa
zamane mein vo kaun tha zohara_vash
ke siine se jis ne lagaya na tha
basar ki sada aish-o-isharat mein umar
kabhi ranj hamne uthaaya na tha
magar ik jhalak ne hamen kho diya
ye sadma toh hamne uthaya na tha
kiya ishq ke dard mein mubtila
‘falak tune itna hansaya na tha
ke jis ke ivaz yun rulane lage’
Saturday, June 20, 2009
akhter shirani ki shayyiri
main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-aarzu
tu hi bata de naaz se iman-e-aarzu
aansu nikal rahe hain tasvuur mein ban ke phul
shadab ho raha hai gulistan-e-aarzu
hone ko hai tulu sabah shab wisal
bujhe toh hai chirag shabistan-e-aarzu
ik vo ke aarzuon pe jeete hain umr bhar
ik hum ke abhi se pashaiman-e-aarzu

Tuesday, March 31, 2009
akhter shirani ki shayyiri
mohabat ki duniya mein mashhoor kar dun
mera sada dil tujhko maghroor kar dun
tere dilko milne ki khud aarzo ho
tujhe iss qadar ghamse ranjuur kar dun
mujhe zindgi duur rakhti hai tujhse
jo tu paas ho toh usse duur kar dun
mohabat ke iqraar se sharm kab tak
kabhi saamna ho toh majbuur kar dun
ye be_rangiyaan kab take husn-e-e-rangin
idhar aa, tujhe ishq mein chuur kar dun
tu gar saamne ho toh main bekhudi mein
sitaron ko sajde pe majboor kar dun
nahin zindgi ko wafa varna 'akhtar'
mohabat se duniya ko mamoor kar dun

tamanon ko zinda, aarzuon ko javaan kar lun
ye sharmili nazar keh de toh kuch gustakhiyan kar lun
bahar aayi hai bulbul dard-e-dil kehti hai phuulon se
kaho toh main bhi apna dard-e-dil tumse bayaan kar lun
hazaron shokh armaan le rahe hain chutkiyan dil mein
haya innki izaazat de toh kuch be-bakiyan kar lun
koi surat toh ho duniya-e-faani mein behalne ki
thehar ja ae ! jawani maatam-e-umar-e-ravan kar lun
chaman mein hain beham parwana-o-shama-o-gul-o-bulbul
izaazat ho toh main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun
kise malum kab kis waqt kis par gir pade bijli
abhi se main chaman mein chal kar aabad aashiyan kar lun
mujhe dono jahan mein ek voh mil jaayen gar 'akhtar'
toh apni hasraton ko be_nayaaz-e-do-jahan kar lun

Tuesday, March 17, 2009
akhter shirani ki shayyiri
main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-aarzu
tu hi bata de naaz se imaan-e-aarzu
ansuu nikal rahe hain tasawur mein ban ke phul
shadab ho raha hai gulistan-e-aarzu
hone ko hai tuloo sabah shab wisal
bujhe to hai chiragh shabistan-e-aarzu
ek wo ke aarzu'on pe jeete hain umar bhar
ek hum ke abhi se pashaimane-aarzu

Subscribe to:
Posts (Atom)