Tuesday, July 7, 2009

akhter shirani ki shayyiri

dil-o-dimag ko ro luunga aah kar lunga
tumhare ishq mein sab kuch tabah kar lungaa
agar mujhe na milin tum tumhare sar ki qasam
main apni saari jawani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili
tere khayal hi ko sajdagah kar lunga
jo tum se kar diya maharuum aasman ne mujhe
main apni zindgi sarf-e-gunah kar lunga
raqiib se bhi milunga tumhare hukam pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga
tumhari yaad mein main kaat dunga hashr ke din
tumhare hizr mein raaten siyah kar lunga
hariim-e-hazarat-e-salma ki simt jaata hun
hua na zabt toh chupke se aah kar lunga
ye naubahar ye abr-o-hawa ye rang-e-sharab
chalo jo ho so ho ab toh gunah kar lunga
kisi hasiina ke masoom ishq mein ‘akhtar’
jawani kya hai main sab kuch tabaah kar lunga

No comments:

Post a Comment

wel come