Tuesday, July 7, 2009

akhter shirani ki shayyiri

ae ishq na chhed aa aa ke hamen
ham bhuule huon ko yaad na kar
pehle hi bohat na_shaad hain ham
tu aur hamen na_shaad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuch
ye taaza sitam ijaad na kar
yun zulm na kar bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

jis din se mile hain donon ka
sab chaiin gaya aaram gaya
chehron se bahaar-e-subah gayi
aankhon se farog-e-sham gaya
haathon se khushi ka jaam chhuta
honton se hansi ka naam gaya
ghamgiin na bana na_shaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

raaton ko uth uth rote hain
ro ro kar duaayen karte hain
aankhon mein tasavvur dil mein khalish
sar dhunate hain aahen bharte hain
ae ishq ye kaisa rog laga
jeete hain na zaalim marte hain
ye zulm toh ae jallaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

ye rog laga hai jab se hamen
ranjiida hun main bimaar hai vo
har waqt tapish har waqt khalish
be-Kkhwab hun main bedaar ha vo
jeene se idhar bezaar hun main
maranbe pe udhar tayyar hai vo
aur zabt kahe fariyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

bedard zara insaaf toh kar
iss umar mein aur magmuum hai vo
phuulon ki tarah naazuk hai abhi
taaron ki tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj gazab
majabuur hun main mazluum hai vo
mazluum pe yun bedaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

ae ishq khudara dekh kahin
vo shokh hasin badnaam na ho
vo maah-e-laqa badnaam na ho
vo zohra-jabiin badnaam na ho
na_muus ka ussko paas rahe
vo parda-nashin badnaam na ho
uss parda-nashiin ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

ummiid ki jhuuthi zannat ke
reh reh ke na dikhla khwab hamen
aa_iinda ke farzi ishrat ke
vaade se na kar betaab hamen
kehta hai zamana jis ko khushi
aati hai nazar kamayab hamen
chhod aisi khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

do din hi mein ahad-e-tifali ke
masuum zamaane bhuul gaye
aankhon se vo khushiyan mit si gayin
lab ke vo taraane bhuul gaye
unn paak bahishti khwabon ke
dilchasp fasane bhuul gaye
unn khwabon se yun aazad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

aankhon ko ye kya aazar hua
har jazb-e-nihaan par ro dena
aahang-e-tarab pe jhuk jaana
aawaz-e-fugan par ro dena
barbat ki sada par ro dena
mutrib ke bayan par ro dena
ehsaas ko gham buniyad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

jii chahta hai ik dusre ko
yun aath pahar ham karen
aankhon mein basaayen khwabon ko
aur dil ko khayal aabad karen
khilvat mein bhi jo jalwat ka saaman
vahadat ko dui se shaad karen
ye aarzuuen ijaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

vo raaz hai ye gham aah jise
paa jaaye koi to khair nahin
aankhon se jab aansu behte hain
aa jaaye koi toh khair nahin
zaalim hai ye duniya dil ko
yahan bha jaaye koi khair nahin
hai zulm magar fariyaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

duniya ka tamasha dekh liya
ghamgiin si hai betaab si hai
ummiid yahan ik vaham si hai
taskiin yahan ik khwab si hai
duniya mein khushi ka naam nahin
duniya mein khushii nayab si hai
duniya mein khushi ko yaad na kar
ae ishq hamen barbaad na kar

No comments:

Post a Comment

wel come