Showing posts with label sarwar a raz sarwar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label sarwar a raz sarwar ki shayyiri. Show all posts

Saturday, July 4, 2009

mujhe zindgi pe apni agar ikhtiyaar hota

mujhe zindgi pe apni agar ikhtiyaar hota
toh main raah-e-aarzu mein yun kharab-o-khwaar hota ?
tujhe mera, mujhko tera agar aitbaar hota
na tu sharmsar karta, na main sharmsar hota !
kiya tune ye ghzab kiya, diya khol raaz-e-hasti ?
na main aashkar hota, na tu aashkar hota !
gham-e-aarzu mein jaan par meri yyn agar na banti
koi aur tera saathi, dil-e-beqarar ! hota ?
sar-e-bazm meri jaanib jo tu uthti gaahe gaahe
mujhe tujhse shikwa phir kyon ae nigaah-e-yaar ! hota ?
na main tujh se aashna hun, na hi khud se ba-khabar hun
ye maze kahan se milte agar hoshiyar hota ?
meri fikr dil-kusha hai, meri baat be-riyaa hai
tujhe phir bhi ye gila hai, main waffa-shi,a'ar hota !
hai Khata ye ishq lekin, yeh gunah toh nahin hai !
main khata se tauba karta toh gunahgar hota !
gham-e-aashiqi hua hai gham-e-zindgi mein shaamil
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota !
teri ik ghazal bhi ‘sarwar’ kisi kaam ki jo hoti
toh zaroor shairon mein tera bhi shumaar hota !

Friday, July 3, 2009

mussir hain log keh tujhe yaad mein kiya na karoon

mussir hain log keh tujhe yaad mein kiya na karoon
tu bewaffa hai toh phir main bhi kya waffa na karoon ?
khuda toh hota hi hai be_nayaz lekin
khuda parast hoon main kaise khuda khuda na karoon
gunah kehte hain sab aarzu-e-eeza ko
sitam yeh dekhiye ke beemar hoon, dawa na karoon
sarapa chashm hoon, tujhko na dekhon yeh bandish
Sarapa gosh hoon phir bhi tuhe suna na karoon ?
ae mere zood faramosh bebasi hai lekin
chale jo bas toh tere vaade ka aasra na karoon
khayal aur phir usska khayal hai sarwar
sulagti aag hai magar dil se juda na karoon

Sunday, June 28, 2009

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

ik riwaayat ke siva kuch na tha takdeer ke paas
giblah-roo ho gaya hum yun buut-e-tadbeer ke paas !
kya hadeec-e-gam-e-dil, kaun sa Quraan-e-waffa !
ek taaweel nahin saaheb-e-tafseer ke paas !
dil ke aaiine mein kya jaane nazar kya aaya ?
muddaton baithe rahe hum teri tasveer ke paas !
ashk-e-naumidi-o-hasrat hi muqaddar thehra
ek tohfa tha yahi-harf-e-guloogeer ke paas !
goshan-e-sabar-o-sakuun ? haif ! na divaar, na dar !
thak ke main baith raha hasrat-e-tameer ke paas !
hum haqiqaat ke pujaari thay gumaan-gasht na thay
aur sirf khwaab thay uss zulf-e-girahgeer ke paas !
kya kahen guzri hai kya ishq mein ahl-e-dil par
rahn-e-shamsheer kabhi aur kabhi zanjeer ke paas !
tune ae jaan-e-ghazal ! yeh bhi kabhi socha hai ?
qaafiye kyun na rahe 'sarwar'-e-dilgeer ke paas !

Tuesday, June 23, 2009

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

ranj-o-raahat soz-o-saaz-o-hasrat-o-aasuudigi
ek hain sab bas zara parda uthaa kar dekhiye
ho chuki 'sarwar' bohat duniya ki khatirdaariyan
jo bhi dil mein hai wo ab, naam-e-khuda kar dekhiye

Saturday, May 30, 2009

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

aashna thay khud se, phir na-aashna hote gaye
ho bhala iss ishq ka, hum kya se kya hote gaye !
ashq-e-gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaye
zindgi ke qarz saare yun ada hote gaye
na-rasaayi ka fasana kya kahen, kis se kahen ?
manzilen aayin toh hun be-dast-o-pa hote gaye
ittifaaqan apni haalat par nazar jab jab padi
hum nigahon mein khud apni be-rida hote gaye
regzaar-e-aarzu mein waqt vo hum par pada
raahzan chehre badal kar rehnuma hote gaye
ahl-e-duniya ki zara dekho karam-farmaiyan
aad mein imaan ki bande bhi khuda hote gaye
ishq ki be-taabiyon ki lazzaten mat puchhiye
naalah-haaye aarzu harf-e-dua hote gaye
ye kaho 'sarwar' ! tumhari inkisaari kya hui ?
tum bhi duniya ki tarah kyun khud-numai hote gaye ?

wel come