aashna thay khud se, phir na-aashna hote gaye
ho bhala iss ishq ka, hum kya se kya hote gaye !
ashq-e-gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaye
zindgi ke qarz saare yun ada hote gaye
na-rasaayi ka fasana kya kahen, kis se kahen ?
manzilen aayin toh hun be-dast-o-pa hote gaye
ittifaaqan apni haalat par nazar jab jab padi
hum nigahon mein khud apni be-rida hote gaye
regzaar-e-aarzu mein waqt vo hum par pada
raahzan chehre badal kar rehnuma hote gaye
ahl-e-duniya ki zara dekho karam-farmaiyan
aad mein imaan ki bande bhi khuda hote gaye
ishq ki be-taabiyon ki lazzaten mat puchhiye
naalah-haaye aarzu harf-e-dua hote gaye
ye kaho 'sarwar' ! tumhari inkisaari kya hui ?
tum bhi duniya ki tarah kyun khud-numai hote gaye ?
No comments:
Post a Comment