Showing posts with label anwar shauur ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label anwar shauur ki shayyiri. Show all posts

Thursday, November 18, 2010

maine usse hansi khsuhi jaan diya tha, haan magar

maine usse hansi khsuhi jaan diya tha, haan magar
ye toh mua^ahda[agreement] na tha, mud ke na dekhna mujhe

Wednesday, July 8, 2009

anwar shauur ki shayyiri

vo gul_farosh kahan ab gulab kis se lun
nahin raha mera saaqii sharab kis se lun
teri talash mein iss umar-e-mustu'ar[borrowed time] ke saal
jo raayegan[futile] gaye unnka hisaab kis se lun
hayaat khud hai sawal aur khud jawab apna
sawal kis se karun main jawab kis se lun
kisi ke naam jo mansoob abhi nahin ki thi
main apni khoyi hui vo kitaab kis se lun
tumhaare baad na dekhun tumhare jaison ko
toh ye shabiin[moonlit night] ye umangen ye khwab kis se lun
nashakashi[drinking] se bhi le lun 'shaoor' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-mahtaab kis se lun

anwar shauur ki shayyiri

kiya baadalon mein safar zindagi bhar
zamiin par banaya na ghar zindagi bhar
sabhi log jeene ka fan jaante hain
na aaya hamen ye hunar zindagi bhar
mohabbat rahi chaar din zindagi mein
raha chaar din ka asar zindagi bhar

anwar shauur ki shayyiri

kai marhale[obstacles] aur sar karne[overcome] hain
abhi toh bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqiin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jiwan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kaam
zaruuri nahin hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi taak-jhaank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin 'shaoor'
kisi taur ye din basar karne hain

anwar shauur ki shayyiri

jo kuch kaho qubool hai taqarar kya karun
sharminda ab tumhen sar-e-bazaar kya karun
mallum hai ki paar khula aasman hai
chhut’te nahin hain ye dar-o-diwar kya karun
iss haal mein bhi saans liye ja raha hun main
jaata nahin hai aas ka aazaar[illness/woe] kya karun
hain vaa-shigaaf[open wound/crack] mujhpe tumhari inaayaten
jo ankahi na ho usse izhaar kya karun
phir ek baar vo rukh-e-masoom dekhta
khulti nahin hai chashm-e-gunahgar kya karun
ye pur-sukoon subah ye main ye faza ‘shaoor’
vo so rahe hain ab unhen bedaar kya karun


Wednesday, June 10, 2009

anwar shauur ki shayyiri

kai marhale[destinations] aur sar[overcome] karne hain
abhi toh bohat se safar karne hain
badi[sin] aur neki yaqeen aur shaq
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jivan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kaam
zaruuri nahin hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi taak-jhaank
ki ye silsile umar bhar karne hain
bohat sakht mausham hai lekin 'shaoor'
kisi taur ye din basar karne hain

Friday, June 5, 2009

anwar shauur ki shayyiri

baray-e-naam sahi koi meharbaan toh hai
hamare sar pe bhi hone ko aasmaan toh hai
ye aur baat ki vo ab yahan nahin rehta
magar ye uss ka basaaya hua makaan toh hai
alaava iss ke na kuch aur parda rakh mujhse
fasil-e-jism mere tere darmiyaan toh hai
bichad ke zinda nahin reh sakenge hum dono
mujhe ye vaham toh hai unn ko ye gumaan toh hai

Thursday, May 7, 2009

anwar shauur ki shayyiri

hai vaashigaaf[clear] mujhpe tumhari inayaten
jo ankahi na ho usse izhaar kya karun

wel come