vo gul_farosh kahan ab gulab kis se lun
nahin raha mera saaqii sharab kis se lun
teri talash mein iss umar-e-mustu'ar[borrowed time] ke saal
jo raayegan[futile] gaye unnka hisaab kis se lun
hayaat khud hai sawal aur khud jawab apna
sawal kis se karun main jawab kis se lun
kisi ke naam jo mansoob abhi nahin ki thi
main apni khoyi hui vo kitaab kis se lun
tumhaare baad na dekhun tumhare jaison ko
toh ye shabiin[moonlit night] ye umangen ye khwab kis se lun
nashakashi[drinking] se bhi le lun 'shaoor' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-mahtaab kis se lun
No comments:
Post a Comment