vo baaten teri vo fasaane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek zakhm nazzara hissa mera
bahaaren teri aashiyane tere
bas ek daag-e-sajda meri qayenat
jabiinen teri aastane tere
zamiir-e-sadaf mein kiran ka muqaam
anokhe anokhe thikaane tere
faqiiron ka jamaghat ghadi do ghadi
sharaben teri badakhane tere
bahaar-o-khizan kam nigaahon ke vaham
bure ya bhale sab zamane tere
‘adam’ bhi hai tera hikayat_kadah
kahan tak gaye hain fasaane tere
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label abdul hameed adam ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label abdul hameed adam ki shayyiri. Show all posts
Monday, July 6, 2009
abdul hameed adam ki shayyiri
tere dar pe vo aa hi jaate hain
jinko piine ki aas ho saaqi
aaj itni pila de aankhon se
khatm rindon ki pyaas ho saaqi
halqa halqa suroor hai saaqi
baat koi zaroor hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pehla qusoor hai saaqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein noor hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
piine waalon ko bhi nahin mallum
maikada kitni door hai saaqi
jinko piine ki aas ho saaqi
aaj itni pila de aankhon se
khatm rindon ki pyaas ho saaqi
halqa halqa suroor hai saaqi
baat koi zaroor hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pehla qusoor hai saaqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein noor hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
piine waalon ko bhi nahin mallum
maikada kitni door hai saaqi
abdul hameed adam ki shayyiri
suraj ki har kiran teri surat pe vaar dun
dozakh ko chahta hun ki zannat pe vaar dun
itni si hai tasalli ki hoga muqabla
dil kya hai jaan bhi apni qayamat pe vaar dun
ik khwab tha jo dekh liya niind mein kabhi
ik niind hai jo teri muhabbat pe vaar dun
‘adam’ hasiin niind milegii kahan mujhe
phir kyun na zindgani ko turbat pe vaar dun

subu ko daur mein laao bahaar ke din hain
hamen sharab pilaao bahaar ke din hain
ye kaam aaiin-e-ibaadat hai mausam-e-gul mein
hamen gale se lagao bahaar ke din hain
thahr thahr ke na baraso umad pado yak dam
sitamgari se ghataao bahaar ke din hain
shikasta-e-tauba ka kab aisa aayega mausam
‘adam’ ko gher ke laao bahaar ke din hain

saagar se lab laga ke bohat khush hai zindgi
sahan-e-chaman mein aa ke bohat khush hai zindgi
aa jaao aur bhi zara nazdiik jaan-e-mann
tumko qariib pa ke bohat khush hai zindgi
hota koi mehal[opportunity or often] bhi toh kya puuchhate ho phir
be-wajah muskura ke bahut khush hai zindgi
saahil pe bhi toh itni shagufta[fresh] ravish na thi
tufan ke beech aa ke bahut khush hai zindgi
viran dil hai aur ‘adam’ zindgi ka raqs[dance]
jangal mein ghar bana ke bohat khush hai zindgi

phuulon ki tahaniyon pe nasheman[nest] banaayiye
bijlii gire toh jashn-e-charagan manaayiye
kaliyon ke ang ang mein mitha sa dard hai
bimaar nikahaton[fragrance] ko zara gud_gudaayiye
kab se sulag rahi hai jawani ki garm raat
zulfen bikher kar mere pehlu mein aayiye
behaki hui siyaah ghataaon ke saath saath
jii chahta hai shaam-e-abad[unending evening] tak toh jaayiye
sun kar jise havas mein thandak si aa base
aisi koi udas kahani sunaayiye
raste pe har qadam pe kharabat[wine-bars] hain ‘adam’
ye haal ho toh kis tarah daaman bachaayiye

phuulon ki aarzu mein bade zakhm khaaye hain
lekin chaman ke khaar bhi ab tak paraaye hain
uss par haraam hai gham-e-dauran ki talkhiyan
jiske nasiib mein teri zulfon ke saaye hain
mahashar[day of judgement] mein le gayi thi tabiyat ki saadgi
lekin bade khuluus se ham laut aaye hain
aayaa hun yaad baad-e-fana[after death] unnko bhi 'adam'
kya jald mere seekh pe imaan laaye hain

maikada tha chandni thi main na tha
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todata tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo meri diwaangi thi main na tha
maikade ke mod par rukti hui
muddaton ki tashnagi thi main na tha
main aur uss gunchadahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhna zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein ‘adam’ hairat-farosh
do jahan ki bad_zani thi main na tha
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todata tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo meri diwaangi thi main na tha
maikade ke mod par rukti hui
muddaton ki tashnagi thi main na tha
main aur uss gunchadahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhna zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein ‘adam’ hairat-farosh
do jahan ki bad_zani thi main na tha
abdul hameed adam ki shayyiri
jo log jaan buujh ke nadan ban gaye
mera khayal hai ki vo insan ban gaye
ham hashr mein gaye magar kuch na puuchhiye
vo jaan bujh kar vahan anjaan ban gaye
hanste hain hamko dekh ke arbaab-e-aagahi[intellectuals]
ham aap ki mizaaj ki pehchaan ban gaye
majhdhaar tak pohuchna toh himmat ki baat thi
saahil ke aas paas hi tufan ban gaye
insaniyat ki baat toh itni hai sheikh ji
badqismati se aap bhi insaan ban gaye
kaante bahut thay daaman-e-fitarat mein ae ‘adam’
kuch phuul aur kuch mere armaan ban gaye

jab gardishon mein jaam thay
kitne hasiin ayyaam[days] thay
ham hi na thay ruswa faqat
vo aap bhi badnaam thay
kehte hain kuch arsa hua
qaabe mein bhi asnaam[idols] thay
anjaam ki kya sochte
na-waaqif-e-anjaam thay
ahad-e-jawani mein ‘adam’
sab log gulandaam[people with bodies like flowers] thay

hass ke bola karo bulaya karo
aap ka ghar hai aaya jaaya karo
muskurahat hai husn ka zevar
ruup badhata hai muskuraya karo
hadh se badh kar hasiin lagte ho
jhuuthi qasmen zaruur khaya karo
hukm karna bhi ek sakhavat hai
hamko Khidamat koi bataya karo
baat karna bhi badshahat hai
baat karna na bhuul jaaya karo
taa ke duniya ki dil_kashii na ghate
nit naye pairhan mein aaya karo
kitne saada mizaaj ho tum 'adam'
uss gali mein bahut na jaaya karo
aap ka ghar hai aaya jaaya karo
muskurahat hai husn ka zevar
ruup badhata hai muskuraya karo
hadh se badh kar hasiin lagte ho
jhuuthi qasmen zaruur khaya karo
hukm karna bhi ek sakhavat hai
hamko Khidamat koi bataya karo
baat karna bhi badshahat hai
baat karna na bhuul jaaya karo
taa ke duniya ki dil_kashii na ghate
nit naye pairhan mein aaya karo
kitne saada mizaaj ho tum 'adam'
uss gali mein bahut na jaaya karo
abdul hameed adam ki shayyiri
apni zulfon ko sitaaron ke hawale kar do
shahr-e-gul baadagusaaron[drunkards] ke hawale kar do
talkhi-e-hosh ho ya masti-e-idarak-e-junoon[madness of the mind]
aaj har chiiz baharon ke hawale kar do
mujhko yaaro na karo rahnumaon ke supurd
mujhko tum rah_guzaaron ke hawale kar do
jagne waalon ka tufan se kar do rishta
sone waalon ko kinaaron ke hawale kar do
meri tauba ka baja[proper] hai yahi ejaaz[respect] ‘adam’
mera saagar mere yaaron ke hawale kar do

ae mai_gusaaron savere savere
kharaabaat ke gird phere pe phere
badi roshni bakhshte hain nazar ko
tere gesuuon ke muqaddas andhere
kisi din idhar se guzar kar toh dekho
badi raunaqen hain faqiiron ke dere
gham-e-zindgi ko ‘adam’ saath le kar
kahan ja rahe ho savere savere
kharaabaat ke gird phere pe phere
badi roshni bakhshte hain nazar ko
tere gesuuon ke muqaddas andhere
kisi din idhar se guzar kar toh dekho
badi raunaqen hain faqiiron ke dere
gham-e-zindgi ko ‘adam’ saath le kar
kahan ja rahe ho savere savere
abdul hameed adam ki shayyiri
ab do aalam se sadaa-e-saaz aati hai mujhe
dil ki aahat se teri aavaaz aati hai mujhe
ya samaat ka bharam hai ya kisi naghmen ki guunj
ek pehchaani hui aavaaz aati hai mujhe
kis ne khola hai hawa mein gesuuon ko naaz se
narm_rau barasaat ki aavaaz aati hai mujhe
usski naazuk ungaliyon ko dekh kar aksar ‘adam’
ek halki si sada-e-saaz aati hai mujhe

aap agar ham ko mil gaye hote
baag mein phuul khil gaye hote
aap ne yun hi ghuur kar dekha
hont toh yun bhi sil gaye hote
kaash ham aap iss tarah milte
jaise do vwaqt mil gaye hote
ham ko ahal-e-khirad[ntelligent] mile hi nahin
varna kuch munfaiil[ashamed] gaye hote
usski aankhen hi kaj-nazar[sly look] thi’n ‘adam
dil ke parde toh hil gaye hote

Monday, June 15, 2009
abdul hameed adam ki shayyiri
vo baaten teri vo fasane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek zakhm nazara hissa mera
bahaaren teri aashiyane tere
bas ek daag-e-sajda meri qayenaat
jabeenen teri aastane tere
zameer-e-sadaf mein kiran ka muqaam
anokhe anokhe thikaane tere
faqiiron ka jamghat ghadi do ghadi
sharaben teri badakhane tere
bahar-o-khizaan kam nigaahon ke veham
bure ya bhale sab zamane tere
'adam bhi hai tera hikayat_kadah
kahan tak gaye hain fasane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek zakhm nazara hissa mera
bahaaren teri aashiyane tere
bas ek daag-e-sajda meri qayenaat
jabeenen teri aastane tere
zameer-e-sadaf mein kiran ka muqaam
anokhe anokhe thikaane tere
faqiiron ka jamghat ghadi do ghadi
sharaben teri badakhane tere
bahar-o-khizaan kam nigaahon ke veham
bure ya bhale sab zamane tere
'adam bhi hai tera hikayat_kadah
kahan tak gaye hain fasane tere
abdul hameed adam ki shayyiri
tere dar pe vo aa hi jaate hain
jin ko peene ki aas ho saaqi
aaj itni pila de aankhon se
khatam rindon ki pyaas ho saaqi
halqa halqa saruur hai saaqi
baat koi zaruur hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suruur hai saaqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pehla kasoor hai saaqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein nuur hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
peene waalon ko bhi nahin mallum
maikada kitni duur hai saaqi
jin ko peene ki aas ho saaqi
aaj itni pila de aankhon se
khatam rindon ki pyaas ho saaqi
halqa halqa saruur hai saaqi
baat koi zaruur hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suruur hai saaqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pehla kasoor hai saaqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein nuur hai saaqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna suroor hai saaqi
peene waalon ko bhi nahin mallum
maikada kitni duur hai saaqi
abdul hameed adam ki shayyiri
suraj ki har kiran teri surat pe vaar dun
dozakh ko chahta hun ki zannat pe vaar dun
itani si hai tasali ki hogaamuqabla
dil kya hai jaan bhi apni qayamat pe vaar dun
ik khwab tha jo dekh liya neend mein kabhi
ik neend hai jo teri muhbbat pe vaar dun
'adam' hasin neend milegi kahan mujhe
phir kyun na zindgani ko turbat pe vaar dun
dozakh ko chahta hun ki zannat pe vaar dun
itani si hai tasali ki hogaamuqabla
dil kya hai jaan bhi apni qayamat pe vaar dun
ik khwab tha jo dekh liya neend mein kabhi
ik neend hai jo teri muhbbat pe vaar dun
'adam' hasin neend milegi kahan mujhe
phir kyun na zindgani ko turbat pe vaar dun
abdul hameed adam ki shayyiri
subu ko daur mein laao bahaar ke din hain
hamen sharab pilaao bahaar ke din hain
ye kaam aaiine-e-ibaadat hai mausam-e-gul mein
hamen gale se lagao bahaar ke din hain
thahr thahr ke na baraso umad pado yak dam
sitamgarii se ghataao bahaar ke din hain
shikasta-e-tauba ka kab aisa aayega mausam
'adam' ko gher ke laao bahaar ke din hain

maikada tha chandani thi main na thaa
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todta tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na thaa
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo meri diwaangi thi main na tha
maikade ke mod par roktii huii
muddaton ki tashnagi thi main na tha
main aur uss gunchaadahan ki aarzu
aarzu ki sadagi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhana zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein 'adam' hairat-farosh
do jahan ki bad_zani thi main na tha
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todta tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na thaa
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo meri diwaangi thi main na tha
maikade ke mod par roktii huii
muddaton ki tashnagi thi main na tha
main aur uss gunchaadahan ki aarzu
aarzu ki sadagi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhana zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein 'adam' hairat-farosh
do jahan ki bad_zani thi main na tha
Subscribe to:
Posts (Atom)