phuulon ki tahaniyon pe nasheman[nest] banaayiye
bijlii gire toh jashn-e-charagan manaayiye
kaliyon ke ang ang mein mitha sa dard hai
bimaar nikahaton[fragrance] ko zara gud_gudaayiye
kab se sulag rahi hai jawani ki garm raat
zulfen bikher kar mere pehlu mein aayiye
behaki hui siyaah ghataaon ke saath saath
jii chahta hai shaam-e-abad[unending evening] tak toh jaayiye
sun kar jise havas mein thandak si aa base
aisi koi udas kahani sunaayiye
raste pe har qadam pe kharabat[wine-bars] hain ‘adam’
ye haal ho toh kis tarah daaman bachaayiye
No comments:
Post a Comment