Monday, July 6, 2009

abdul hameed adam ki shayyiri

saagar se lab laga ke bohat khush hai zindgi
sahan-e-chaman mein aa ke bohat khush hai zindgi
aa jaao aur bhi zara nazdiik jaan-e-mann
tumko qariib pa ke bohat khush hai zindgi
hota koi mehal[opportunity or often] bhi toh kya puuchhate ho phir
be-wajah muskura ke bahut khush hai zindgi
saahil pe bhi toh itni shagufta[fresh] ravish na thi
tufan ke beech aa ke bahut khush hai zindgi
viran dil hai aur ‘adam’ zindgi ka raqs[dance]
jangal mein ghar bana ke bohat khush hai zindgi

No comments:

Post a Comment

wel come