Showing posts with label farhat abbas shah ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label farhat abbas shah ki shayyiri. Show all posts

Sunday, June 14, 2009

farhat abbas shah ki shayyiri

main ne dekhaa diiwanon ko sham ke baad
dhoond rahe thay viraano ko sham ke baad
tarekhi phir saare aib chhupaa legi
le aana ghar mahmanon ko sham ke baad
maine usska sog manaya kuch aisa
Khaali rakha paimaanon ko sham ke baad
yaad kare jab mujhko teri tanhaai
dekha karana guldanon ko sham ke baad
"farhat" chand ke khauff se kar leta hun bandh
kamare ke raushndanon ko sham ke baad

farhat abbas shah ki shayyiri

sochte rehne ki aadat ho gayi
chaunkte rehne ki aadat ho gayi
hizr ki raaton ke sang aankhon ko bhi
jaagte rehna ki aadat ho gayi
jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagte rehne ki aadat ho gayi
woh nahin lautegaa phir kyun rehguzar
dekhte rehne ki aadat ho gayi
woh mere andar chupa hai aur usse
bolte rehne ki aadat ho gayi~!!

farhat abbas shah ki shayyiri

samay samay ki Khalish mein tera malaal rahe
judaaiyon mein bhi yun aalam-e-visaal rahe
ana ki jang mein ham jeet toh gaye lekin
phir usske baad bahut der tak nidhal rahe
raah-e-januun mein yahi zaad-e-raah hota hai
ke justaju badhe diwanagi bahaal rahe
hasin raaten bhi mahaken tumhari yaadon se
kade dinon mein bhi pal pal tera Khayal rahe
tu ek baar zara kishtiyan jala toh sahi
hai kya majaal ke ek lamha bhi zawal rahe

Saturday, May 30, 2009

farhat abbas shah ki shayyiri

iqraar gaye, inkaar gaye, hum haar gaye
aankhon se sab asaar gaye, hum haar gaye
kuch yaadein usski beech samander doob gayi
kuch sapne reh uss paar gaye, hum haar gaye
jab tanha apni zaat se jang pe nikle toh
bhagwan gaye, utaar gaye, hum haar gaye
yun uljhe duniya ke dukh mein besudh ho kar
sab jhoote sache pyar gaye, hum haar gaye
pehle toh preet mein apne aap se duur huye
phir yaar gaye dildar gaye, hum haar gaye
ik umer rahe jeet se be-perwa lekin
jab jeetna chaha , haar gaye ,,hum haar gaye

wel come