jo log jaan buujh ke nadan ban gaye
mera khayal hai ki vo insan ban gaye
ham hashr mein gaye magar kuch na puuchhiye
vo jaan bujh kar vahan anjaan ban gaye
hanste hain hamko dekh ke arbaab-e-aagahi[intellectuals]
ham aap ki mizaaj ki pehchaan ban gaye
majhdhaar tak pohuchna toh himmat ki baat thi
saahil ke aas paas hi tufan ban gaye
insaniyat ki baat toh itni hai sheikh ji
badqismati se aap bhi insaan ban gaye
kaante bahut thay daaman-e-fitarat mein ae ‘adam’
kuch phuul aur kuch mere armaan ban gaye
No comments:
Post a Comment