kai marhale[obstacles] aur sar karne[overcome] hain
abhi toh bahut se safar karne hain
badi aur neki yaqiin aur shak
hain jitne bhi aib-o-hunar karne hain
hatheli pe rakhte hain apna kafan
jinhen apna jiwan amar karne hain
sitam hai ki duniya ke kitne hi kaam
zaruuri nahin hain magar karne hain
karoge kabhi tark bhi taak-jhaank
ki ye silsile umr bhar karne hain
bahut sakht mausam hai lekin 'shaoor'
kisi taur ye din basar karne hain
No comments:
Post a Comment