ik riwaayat ke siva kuch na tha takdeer ke paas
giblah-roo ho gaya hum yun buut-e-tadbeer ke paas !
kya hadeec-e-gam-e-dil, kaun sa Quraan-e-waffa !
ek taaweel nahin saaheb-e-tafseer ke paas !
dil ke aaiine mein kya jaane nazar kya aaya ?
muddaton baithe rahe hum teri tasveer ke paas !
ashk-e-naumidi-o-hasrat hi muqaddar thehra
ek tohfa tha yahi-harf-e-guloogeer ke paas !
goshan-e-sabar-o-sakuun ? haif ! na divaar, na dar !
thak ke main baith raha hasrat-e-tameer ke paas !
hum haqiqaat ke pujaari thay gumaan-gasht na thay
aur sirf khwaab thay uss zulf-e-girahgeer ke paas !
kya kahen guzri hai kya ishq mein ahl-e-dil par
rahn-e-shamsheer kabhi aur kabhi zanjeer ke paas !
tune ae jaan-e-ghazal ! yeh bhi kabhi socha hai ?
qaafiye kyun na rahe 'sarwar'-e-dilgeer ke paas !
No comments:
Post a Comment