tamanon ko zinda, aarzuon ko javaan kar lun
ye sharmili nazar keh de toh kuch gustakhiyan kar lun
bahar aayi hai bulbul dard-e-dil kehti hai phuulon se
kaho toh main bhi apna dard-e-dil tumse bayaan kar lun
hazaron shokh armaan le rahe hain chutkiyan dil mein
haya innki izaazat de toh kuch be-bakiyan kar lun
koi surat toh ho duniya-e-faani mein behalne ki
thehar ja ae ! jawani maatam-e-umar-e-ravan kar lun
chaman mein hain beham parwana-o-shama-o-gul-o-bulbul
izaazat ho toh main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun
kise malum kab kis waqt kis par gir pade bijli
abhi se main chaman mein chal kar aabad aashiyan kar lun
mujhe dono jahan mein ek voh mil jaayen gar 'akhtar'
toh apni hasraton ko be_nayaaz-e-do-jahan kar lun
No comments:
Post a Comment