tere shehr mein ek diwana bhi hai
jo sab ke sitam ka nishana bhi hai
bada silsila hai khuda se mera
falak pe mera aana jana bhi hai
hai maqsad toh apni hi takmeel ka
mohabbat yeh teri bahana bhi hai
ravayat hai aadam se yeh ishq ki
yeh sauda bohat hi purana bhi hai
bhatakte hain aawara galiyon mein hum
kahin ashikon ka thikana bhi hai
musalsaal safar mein hai apni hayat
yahan se kahin laut jana bhi hai
mile voh to kuch hall-e-dil hum kahen
bohat aaj mausham suhana bhi hai
kahi hai gazal humne usske liye
ki yeh 'ashk' jis se chhupana bhi hai
No comments:
Post a Comment