ruuh ki baat suni, zism ke tevar dekhe
iltija hai voh iss aag mein jal kar dekhe
tum voh dariya jo chadhe bhi toh ghadi bhar ke liye
main voh qatra hun jo gir ke bhi sumandar dekhe
chubta mahau, ghuti ruuh, gurezaan lamhe
dil ki hasrat hai kabhi inn se nikal kar dekhe
kaise kar le voh yaqeen tujh par fareb-e-gam-e-zaat
teri raahon mein jo tashkeek ke pathar dekhe
baat ho sirf hakikat ki toh seh le lekin
apne khwaabon ko bhikarte koi kyunkar dekhe
humse mat puchhiye kya nafs pe guzrii 'umeed'
ek ek saans se ladte huye lashkar dekhe
ali abbas umeed
No comments:
Post a Comment