samjh rahe hain aur bolne ka yaara nahi
jo humse mil ke bichhad jaaye, vo hamara nahin
samandaron ko bhi hairat hui ki doobte waqt
kisi ko humne madad ke liye pukara nahin
jo hum nahin thay toh phir kaun tha sar-e-bazaar
jo keh raha tha ki bikna hamen gavara nahin
abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se
abhi toh karz-e-maah-o-saal bhi utara nahin
hum ahl-e-dil hain muhabat ki nisbaton ke amin
hamare paas zaminon ka ghoshwara nahin hai
iftikhaar arif
No comments:
Post a Comment