Tuesday, July 7, 2009

akhter shirani ki shayyiri

kaam aa saki na apni vafaayen toh kya karen
ik bewaffa ko bhuul na jaayen toh kya karen
mujhko ye etaraaf[agree] duaaon mein hai asar
jaaye na arsh par jo duaayen toh kya karen
ik din ki baat ho toh usse bhuul jaayen ham
naazil[to fall upon] hon roz dil pe balaayen[troubles] toh kya karen
shab bhar toh unnki yaad mein taare gina kiye
taare-se din ko bhi nazar aayen toh kya karen
ahad-e-tarab[promise of good times] ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhuul na jaayen toh kya karen
ab jii mein hai ki unnko bhula kar hi dekh len
vo baar baar yaad jo aayen toh kya karen
tark-e-waffa bhi zurm-e-muhabbat sahi ‘akhtar’
milne lagen waffa ki sazaayen toh kya karen

No comments:

Post a Comment

wel come