mastana piye jaa yunhi mastana piye ja
paimana toh kya chiiz hai maikhana piye ja
kar garq[drown] mai-o-jaam gham-e-gardish-e-ayyam[sorrow of everyday life]
ab ae dil-e-nakaam tu maikhana piye ja
mai-noshi[drinking] ke aadaab se aagaah nahin tu
jis tarah kahe saaqi-e-maikhana piye ja
iss basti mein hai vehashat-e-masti hi se hasti
diwana ban aur baada-e-diwana piye ja
maikhane ke hangamen hain kuch der ke mehaman
hai subah qariib ‘akhtar’ diwana piye ja
No comments:
Post a Comment