jeete-ji kooncha-e-dildaar[premi ki gali] se jaaya na gaya
usski deewar ka sar se mere saaya na gaya
gul mein usski-si jo buu aai toh aaya na gaya
humko bin doshe-saba[hawa ke kandhe] baagh se laya na gaya
dil mein reh dil mein ki memare-kaza[God] se ab tak
aisa matbu'aa[wished] makaan koi banaya na gaya
kya tunak[less]-hausla thay deed-o-dil[eyes,heart] apne aah
ekdam[palbhar ke liye] raaz muhabat ka chhypaya na gaya
maah[chaand] ne aa saamne shab yaad dilaya usse
phir vo ta-subah mere jii se bhulaya na gaya
gul ne harchand kaha baagh mein reh, par uss din
jii jo ulta toh kisi tarah lagaya na gaya
sar-nasheen-e-rah-e-mahkhana[madirayla ki raah mein baitha] hun, main kya jaanu rasm-e-maszid ke tayin shekh ki aaya na gaya khauff-e-aasheb se googa-e-qaymat [parlaye ka shor] ke liye khun-e-khwabeeda-e-ushshaak[sleeping blood of killed lovers] jagaya na gaya shehr-e-dil aah azab jaae[jagah] thi par usske gaye aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya zer-e-shamsheer-e-sitam "meer" tadpana kaisa sar bhi tasleem-e-muhabat mein hilaya na gaya
No comments:
Post a Comment