Sunday, June 21, 2009

saif uddin saif ki shayyiri

hasrat-e-deed ko tarsa ke chala jaonga
teri ulfat ki qasam kha ke chala jaonga
ik nazar duur se dekhonga dar-o-baam tere
deeda-e-shauq ko tadrpa ke chala jaonga
ik barse huye badal ki tarha guzra hoon
mauj mein aaya toh lehra ke chala jaonga
raat kisi raat musafir hun teri basti mein
shab ka taara hun nazar aa ke chala jaonga

No comments:

Post a Comment

wel come