ye nahin ki naav ki hi zindgi khatre mein hai
daur hai aisa ki ab poori nadi khatre mein hai
bach gaye manzar suhane farq kya pad jayega
jabki yaaron aankh ki hi roshni khatre mein hai
ab toh samjho korwaon ki chaal nadaan pandvo
hosh mein aao tumhari daropadi khatre mein hai
apne bachon ko dikhayoge kahan agli sadi
ji rahe ho jis mein tum vo hi sadi khatre mein hai
mandiron aur maszidon ko ghar ke bihtar lo bana
varna khatre mein azaanen, aarti khatre mein hai
na toh nanak, na hi isha, ram na rehman hi
pujta hai jo innhen vo aadmi khatre mein hai
No comments:
Post a Comment