tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
yahi umar thi mere hamnashin ke kisi se mujhko bhi pyar tha
main samajh raha hun teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
issi gham ka tu bhi aseer hai issi gham ka main bhi shikar tha
faqat ek dhun thi ke raat din ussi khaabzaar mein ghum rahen
vo saraapa aisa suroor tha vo khumar aisa khumar tha
kabhi lamhe bhar ki bhi guftgu meri usske saath na ho saki
mujhe fursaten nahi mil saki vo hawa ke rath pe sawar tha
hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
main khizan mein usska tha muntazar usse intzaar-e-bahar tha
usse padh ke tum na samjh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha
No comments:
Post a Comment