ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan[hidden] hai
qatre mein samandar hai zarre mein bayabaan[wilderness] hai
ae paikar-e-mehboobi[form of the beloved] main kis se tujhe dekhun
jis ne tujhe dekha hai vo diidaa-e-hairan[blind to everything else] hai
sau baar tera daaman haathon mein mere aaya
jab aankh khulii dekha apna hi girebaan hai
ye husn ki maujen hain ya josh-e-tamnna hai
uss shokh ke honton par ik barq[lightning] si larazan[trembling] hai
'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha
ashaar mein sunte hain kuch kuch vo numaayan[evident] hai
No comments:
Post a Comment