paas-e-adab mein josh-e-tamnna liye huye
main bhi hun ek hubaab mein dariya liye huye
rag-rag mein aur kuch na raha juz khayal-e-dost
uss shokh ko hun aaj sarapa liye huye
sarmaaya-e-hayaat hai hirmaane-e-aashiqi
hai saath ek suurat-e-zeba liye huye
josh-e-junoon mein chhuut gaya aastan-e-yaar
rote hain munh mein daaman-e-sahra liye huye
'asghar' hujuoom-e-dard-e-gareebi mein usski yaad
aayi hai ik tilismii tamnna liye huye
No comments:
Post a Comment