ye raaz hai meri zindagi ka
pahne huye hun kafan khudi ka
phir nashtar-e-gham se chheate hai.n
ik tarz hai ye bhi dil dahii ka
o lafz-o-bayaa.N mein chhupne wale
ab qasd hai aur khamoshi ka
marna toh hai ibtada ki ik baat
jeena hai kamal muntahi ka
haan seena gulon ki tarah kar chaak
de marr ke saboot zindagi ka
No comments:
Post a Comment