ye bhi nahin biimaar na thay
itne junoon aasaar na thay
logon ka kya zikr karen
ham bhi kam ayyaar[cunning] na thay
ghar mein aur bahut kuch tha
sirf dar-o-diwar na thay
sab par hansna shevah[nature] tha
jab tak khud uss paar na thay
teri khabar mil jaati thi
shahr mein jab akhbaar na thay
pehle bhi sab kuch bikta tha
khwabon ke baazar na thay
maut ki baaten pyaari thi
marne ko tayyar na thay
No comments:
Post a Comment