karz-e-nigah-e-yaar adaa kar chuke hai hum
sab kuch nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hai hum
ab ehtiyaat ki koi suart[way to escape] nahi rahi
kaatil se rasm-o-rah shiva[increase contact] kar chuke hai
hum dekhe hai kaun kaun, jaroorat nahin rahi
ku-e-sitam[zulm ki gali] mein sab ko khafa kar chuke hai hum
ab apna ikhtiyar hai, chahe jahan chalen
rehbar se apni raah juda kar chuke hai hum
unnki nazar mein, kya kare, feeka hai ab bhi
rang jitna lahu tha sarf-e-kabaa[expenses on clothes] kar chuke hai
hum kuch apne dil ki khu ka bhi sukrana chahiye
sau baar unnki khu ka gila[compaint of nature] kar chuke hain hum
No comments:
Post a Comment