aa ki vabasta hai uss husn ki yaaden tujhse
jisne iss dil ko pari_khana bana rakha tha
jisski ulfat mein bhula rakhi thi duniya hamne
dahar ko dahar ka afsana bana rakha tha
aashna hain tere qadmon se voh rahen jin par
usski madhosh jawani ne inayat ki hai
karvan guzre hain jinse issi ra’anayi ke
jiski inn aankhon ne be-suud ibadat ki hai
tujhse kheli hain voh mehboob hawayen jin mein
usske malbuus ki afsurda mrhak baqi hai
tujhpe bhi barsa hai uss baam se mehtab ka nuur
jis mein beeti hui raaton ki kasak baqi hai
tune dekhi hai voh peshani, voh rukhsar, voh hont
zindgi jinnke tasavvur mein lutaa di hamne
tujhpe uthi hain voh khoi khoi saahir aankhen
tujhko mallum hai kyon umar ganva di hamne
hum pe mushtarak hain ehsaan gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginvaaun toh ginva na sakuun
hamne iss ishq mein kya khoya hai kya siikha hai
juz tere aur ko samjhaaun toh samjha na sakun
No comments:
Post a Comment