phir koi aaya dil-e-zaar, nahin koi nahin
raahrav[musafir] hoga, kahin aur chala jaayega
dhal chuki raat, bikharne laga taaron ka gubaar
ladkhadane lage aivaanon mein khwabinda chirag
so gayi rasta tak tak ke har ek rehguzar
ajnabi khaak ne dhundhla diye qadmon ke suraag
gul karo shamen, badhao mai-o-meena-o-ayaagh
apne bekhwaab kivaadon ko muqafal[bandh] kar lo
ab yahan koi nahin, koi nahin aayega
faiz ahmed faiz
No comments:
Post a Comment