shayar-e-fitrat hoon main, jab fikr farmata hoon main
ruuh ban kar zarre-zarre mein samaa jaata hoon main
aa ke tujh bin iss tarah ae dost ghabrata hoon main
jaise har sheh mein kisi sheh ki kami paata hoon main
haaye ri majburiyan, tark-e-mohbbat ke liye
mujhko samjhate hain vo aur unnko samjhata hoon main
meri himmat dekhna, meri tabiyat dekhna
jo sulajh jaati hai gutthi phir se uljhata hoon main
wah re shauq-e-shahadat, ku-e-qaatil ki taraf
gungunata, raqs karta, jhumta jaata hoon main
teri mehfil tere jalwe, phir taqaza kya zaroor
le utha jaata hoon zaalim, le chala jaata hoon main
ek dil hai aur tufan-e-hawadis ae jigar
ek sheesha hai ke har patthar se takrata hoon main
No comments:
Post a Comment