ae junoon kuchh toh khule aakhir main kis manzil mein hoon
hoon jawaar-e-yaar[under protection of lover] mein ya koocha-e-qaatil mein hoon
pabajola apne shaanon par liye apni saleeb,
main safeer-e-haq[truth] hoon lekin nargha[rank]-e-baatil[evil] mein hoon
jashn-e-farda[celebration of tomorrow ] ke tasavvur se lahoo gardish mein hai
haal mein hoon aur zinda apne mustaqbil mein hoon
dam bakhud[without breath] hoon ab sare maqtal[place of slaughter / execution] ye manzar dekh kar
main ke khud maqtool hoon lekin saf-e-qaatil[rank of killer] mein hoon
ek zamana ho gaya bichhde huye jis se suroor
aaj ussi ke saamne hoon aur bhari mehfil mein hoon
No comments:
Post a Comment