dard-e-dil toh rukne ka ab nam nahi leta hai
sabar-e-dil bhi mera ab kaam nahi leta hai
jab se bakhse hai meri aankho ko aansoo tune
tabse deewana bhi aaram nahi leta hai
itna sang dil hai ki barbaad woh karke mujhe
apne sar koi ilzaam nahi leta hai
ye inayaat bhi nahi kam mere harzai ki
zakham deta hai magar dum nahi leta hai
jo ki ruswai se darrta hai bahut woh 'ishrat'
woh mera nam sar-e-aam nahi leta hai
No comments:
Post a Comment