faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samane baithaa tha mere aur vo mera na tha
vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar su
main usse mehsuus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar usski hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
aks toh maujuud thay par aks tanhaaii ke thay
aaiina toh tha magar uss mei.n tera chehra na tha
aaj ussne dard bhi apne alahada kar diye
aaj main roya toh mere saath vo roya na tha
ye sabhi viiraaniyan usske juda hone se thiin
aankh dhundhalaai hui thi shahr dhundhalaya na tha
yaad karke aur bhi takaliif hoti thi ‘adeem’
bhuul jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha
No comments:
Post a Comment