maikada tha chandni thi main na tha
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todata tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tuur par chheda tha jisne aap ko
vo meri diwangi thi main na tha
maikade ke mod par rukati hui
muddaton ki tishnagi thi main na tha
main aur us gunchaadahan ki aarzu
aarzu ki saadgi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhana zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein 'adam' hairat-farosh
do jahan ki badzanii thi main na tha
No comments:
Post a Comment