shehr mein dhund raha hun ke sahara de de
koi hatim jo mere haath mein kaasa de de
ped sab nange faqiiron ki tarah sehme hain
kis se ummiid ye ki jaaye ki saaya de de
waqt ki sang_zani noch gayi saare naqash
ab vo aaiina kahan jo mera chehra de de
dushmanon ki bhi koi baat toh sach ho jaye
aa mere dost kisi din mujhe dhoka de de
main bahut jald hi ghar laut ke aa jaaunga
meri tanhayi yahan kuch dinon pehara de de
duub jaana hi muqadar hai toh behtar varana
tune patvaar jo chhini hai toh tinka de de
jis ne qataron ka bhi mohtaj kiya mujhko
vo agar josh mein aa jaaye toh dariya de de
tumko "rahat" ki tabiyat ka nahin andaza
vo bikhari hai magar maango toh duniya de de
No comments:
Post a Comment