Friday, May 29, 2009

rahat indori ki shayyiri

har ek chehre ko zakhmon ka aiina na kaho
ye zindagi toh hai rehmat, isse saza na kaho
na jaane kaun si majaburiyon ka qaidi ho
vo saath chod gaya hai toh bewaffa na kaho
tamaam shehar ne nezo pe kyun uchhala mujhe
ye ittefaaq tha, tum issko haadsa na kaho
ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo mera dost tha kal tak, usse bura na kaho
hamare aib hamen ungliyon pe ginvao
hamari peeth ke pichhe hume bura na kaho
main waqiyaat ki zanjeer ka nahi qayal
mujhe bhi apne gunaahon ka silsila na kaho
ye shehr vo hai jahan raakshas bhi hai 'rahat'
har ek tarashe huye buut ko devta na kaho

No comments:

Post a Comment

wel come