har ek chehre ko zakhmon ka aaiina na kaho
ye zindgi toh hai raehmat isse saza na kaho
najane kaun si majburiyon ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai toh bewaffa na kaho
tamaam shehr ne nezon pe kyun uchhala mujhe
ye ittefaaq tha tum issko hadsa na kaho
ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo mera dost tha kal tak usse bura na kaho
hamare aib hamen ungaliyon pe ginvaao
hamari peeth ke peechhe hamen bura na kaho
main vaqiyaat ki zanjeer ka nahin qaayal
mujhe bhi apane gunaahon ka silsilaa na kaho
ye shehr vo hai jahan raakshas bhi hai "rahat"
har ek taraashe huye buut ko devta na kaho
No comments:
Post a Comment