nazar se justju bekar nikali
Khud apne aap se do-char nikali
Kirad ko thi ye khush_fehami ki dar hai
pas-e-diwaar bhi diwaar nikali
mujhe hasrat thi jis taab-e-sukhan ki
wahi shai iss ki bhi dar_kaar nikali
chhutaa aaKhir ko duniya se toh dekha
mohbbat hi gale ka haar nikali
nigahen jhuk gayin jab khud_pasandi
barhana barasar-e-darbaar nikali
nihaal-e-fiqr ki shaakhen namuudaar
qalam ho kar bhi kya gul_naar nikali
bhala hota hai kya kehne se 'haqi'
chalo kuch khwahish-e-izhaar nikali
No comments:
Post a Comment