intzamat naaye sire se sambhale jaayen
jitne kam_zarf hain mehafil se nikale jaayen
mera ghar aag ki lapaton mein chhupa hai lekin
jab maza hai tere aangan mein ujaale jaayen
gham salamat hai toh peete hi rahenge lekin
pehle maikhane ki haalat sambhale jaayen
khaali waqton mein kahin baith ke roa len yaaro
fursaten hain toh samandar hi khangale jaayen
khaak mein yun na mila zabt ki tauheen na kar
ye vo aansun hain jo duniya ko baha le jaayen
ham bhi pyase hain ye ehsaas toh ho saaqi ko
khaali sheeshe hi havaaon mein uchhale jaayen
aao shehr mein naye dost banayen "rahat"
aastiinon mein chalo saanp hi paale jaayen
No comments:
Post a Comment