phir ek din aisa aayega
aankhon ke diye bujh jaayenge
haathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zaban se nataq-va-sada
ki har titali udd jaayegi
ik kaale samandar ki teh mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phuulon ki tarah se hansti hui
saari shaklen kho jaayengi
khoon ki gardish dil ki dhadakan
sab rangiiniyan so jaayengi
aur neeli faza ki makhmal par
hansati hui hiire ki ye kaani
ye meri zannat meri zamiin
isski subahen isski shaamen
bejaane huy besamajhe huye
ik musht gubaar-e-insaan par
shabanam ki ro jaayengi
har chiiz bhula di jaayegi
yaadon ke hasiin buut_khane se
har chiiz utha di jaayegi
phir koi nahin ye puuchhega
'sardar' kahan hai mehfil mein
lekin main yahan phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chidiyon ki zaban se gaaunga
jab beej hansenge dharti mein
aur konpalen apni ungali se
mitti ki tahon ko chhedengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sar sabz hatheli par lekar
shabnam ke qatre tulunga
main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaaz-e-sukhan ban jaaunga
rukhsaar-e-uruus-e-nau ki tarah
har aanchal se chhan jaaunga
jaadon ki havaayen daaman mein
jab fasal-e-khazaan ko laayengi
rahru ke javan qadamon ke tale
suukhe huye patton se mere
hansane ki sadaayen aayengi
dharti ki sunahari sab nadiyaan
aakash ki neeli sab jheelen
hasti se meri bhar jaayengi
aur saara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai sardaar yahan
har mashooqa sultana hai
main ek gurezaan lamha hun
ayyaam ke afsoon_khaane mein
main ek tadapta qatra hun
masaruuf-e-safar jo rahta hai
maazi ki suraahi ke dil se
mustaqbil ke paimaane mein
main sota hun aur jaagta hun
aur jaag ke phir so jaata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main marr ke amar ho jaata hun
No comments:
Post a Comment