Tuesday, July 7, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

ek juu-e-dard[river of pain] dil se jigar tak ravaan[flowing] hai aaj
pighala hua ragon mein ik aatish-fishaan[volcano] hai aaj
lab sii diye hain taa na shikaayat kare koi
lekin har ek zakhm ke munh mein zaban hai aaj
taariikiyon[darkness] ne gher liya hai hayaat ko
lekin kisi ka ruu[face]-e-hasiin darmiyan hai aaj
jeene ka waqt hai yahi marne ka waqt hai
dil apni zindgi se bohat shaadmaan hai aaj
ho jaata hun shahiid[martyr] har ahal-e-waffa ke saath
har dastan-e-shauq meri dastan hai aaj
aaye hain kis nishaat[happiness] se ham qatl-gaah mein
zakhmon se dil hai chuur nazar gul-fishaan[spreading flowers] hai aaj
zindaniyon[prisoners] ne tod diya zulm ka guroor
vo dab-daba vo raub-e-hakumat kahan hai aaj

No comments:

Post a Comment

wel come