abhi aur tez kar le sar-e-khanjar-e-ada ko
mere khoon ki hai zaroorat teri shokhi-e-hina ko
tujhe kis nazar se dekhe ye nigah-e-dard_aagii’n
jo duaayen de rahi hai teri chashm-e-bewaffa ko
kahin reh gayin shayad tere dil ki dhadakanon mein
kabhi sun sake toh sun le meri khuunshida nava ko
koi bolta nahin hai main pukarta raha hun
kabhi buut_kade mein buut ko kabhi kaabe mein khuda ko
No comments:
Post a Comment