aawara hain galiyon mein main aur meri tanhai
jaayen toh kahan jaayen har mod pe rusavai
ye phuul se chehre hain hanste huye gul_daste
koi bhi nahin apna begaane hain sab raste
raahen hain tamashaai rahi bhi tamashaai
main aur meri tanhaai
armaan sulagate hain seene mein chita jaise
qaatil nazar aati hai duniya ki hawa jaise
roti hai mere dil par bajati hui shahanaai
main aur meri tanhaai
aakash ke maathe par taaron ka charagaan hai
pehlu mein magar mere zakhmon ka gulistan hai
aankhon se lahu tapka daaman mein bahaar aayi
main aur meri tanhaai
har rang mein ye duniya sau rang dikhati hai
roa kar kabhi hansti hai hans kar kabhi gaati hai
ye pyaar ki baahen hain ya maut ki angadaai
main aur meri tanhaai
No comments:
Post a Comment